Hamari Behnein
Ghee gaon ka hai.Kamaai bhi gaon ki.
हमारी बहनें
Gaon mein bilona hamesha auraton ke haath mein raha hai. Unka hunar ghar ki rasoi tak hi seemit rehta tha, aur mehnat ka daam bazaar mein kisi aur ko milta tha.
The Ghee mein behnein ek saath, ek saaf aur registered rasoi mein ghee banati hain. Har behen ko apne kaam ka seedha bhugtaan milta hai, aur har jar par us batch ki behnon ke naam hote hain.
Milie behnon se
Sunita Didi
Dadri ke paas ka gaon
Bachpan se maa ke saath bilona mathti aayi hain. Ab unki kamaai se beti college jaati hai.
Kamlesh Didi
Dadri ke paas ka gaon
Ghee pakaane mein sabse anubhavi. Unki naak batati hai ki ghee kab taiyaar hai.
Rekha Didi
Dadri ke paas ka gaon
Har batch ka hisaab aur safai ki zimmedari. Rasoi mein unka niyam chalta hai.
Unke haathon ka kaam
- 1
Doodh दूध
Aas-paas ke kisaanon se desi gaay ka taaza doodh. Fat naap kar kharidte hain.
- 2
Dahi दही
Doodh ubaal kar thanda kiya, raat bhar dahi jamaayi.
- 3
Bilona बिलोना
Subah behnein dahi ko madhani se mathti hain. Chaach alag, makkhan alag.
- 4
Makkhan मक्खन
Haath se nikaala makkhan, saaf paani se dhoya.
- 5
Ghee घी
Dheemi aanch par lagaataar chalaa kar, khushboo aane tak pakaaya. Chhaan kar dheere thanda kiya.